خطبہ جمعہ/ تکمیلِ رمضان المبارک اور نظامِ عیدالفطر.../ مفتی عبد الخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Khutba Juma-ul-Mubarak
Batareekh: 30 Ramadan-ul-Mubarak 1444 AH / 21 April 2023 AD

Mawdoo:
Takmeel-e-Ramadan-ul-Mubarak aur Nizam-e-Eid-ul-Fitr ki hikmat aur maqasid

Khutbay ki rahnuma ayat-e-Qurani wa ahadith-e-Nabwi ﷺ:

Ayaat-e-Qurani
”یُرِیْدُ اللّٰهُ بِكُمُ الْیُسْرَ وَ لَا یُرِیْدُ بِكُمُ الْعُسْرَ، وَ لِتُكْمِلُوا الْعِدَّةَ وَ لِتُكَبِّرُوا اللّٰهَ عَلٰى مَا هَدٰىكُمْ وَ لَعَلَّكُمْ تَشْكُرُوْنَ۔ (2 – البقرۃ: 185)
Tarjuma: "Allah chahta hai tum par asaani aur nahi chahta tum par dushwari, aur iss wajah se ke tum poori karo ginti, aur taake baraai karo Allah ki iss baat par ke tumko hidayat ki, aur taake tum ehsaan mano."

Ahadith-e-Nabwi ﷺ
1(Sahih Bukhari, Hadees: 952)۔ إِنَّ لِكُلِّ قَوْمٍ عِيدًا وَهَذَا عِيدُنَا۔
arjuma: "Har qoum ki eid hoti hai aur aaj yeh hamari eid hai."

۔ إِذَا كَانَ يَوْمُ عِيدِهِمْ يَعْنِي يَوْمَ فِطْرِهِمْ بَاهَى بِهِمْ مَلَائِكَتَهُ، فَقَالَ: يَا مَلَائِكَتِي2 مَا جَزَاءُ أَجِيرٍ وَفَّى عَمَلَهُ؟ قَالُوا: رَبَّنَا جَزَاؤُهُ أَنْ يُوَفَّى أَجْرَهُ.،
(Mishkat-ul-Masabih, Hadees:2096)

Tarjuma: "Jab unki eid ka din hota hai to Allah Ta'ala unki wajah se apne farishton par fakhr karte hue farmata hai: "Mere farishton! Is mazdoor ki kya jaza honi chahiye jo apna kaam pura karta hai?" Woh arz karte hain, "Pardaygaar! Is ki jaza yeh hai ke isay pura pura badla diya jaye"."

"Khutbay ke chand markazi nuqtaat"

1:57 Insaniyat ko apni tarakki ke liye ek jamea aur mukammal nizam-e-hayat darkar hai.

4:40 Deen-e-Islam ke nizam-e-fikr aur nizam-e-hayat se mutaliq ek bunyadi ghalti fahmi ka izala.

7:09 Deen-e-Islam ek jamea, marboot aur mukammal nizam-e-hayat deta hai.

14:38 Islam tamam madi aur roohani nizamoun ki khubiyoun ko apne andar samoe hue hai.

@. Roohani tarqi ke nizam aur jismani tehzeb mein roze ka maqam aur kirdar.

18:18 Qiyam-ul-lail, Itikaf aur Adiaye Masoora ka Allah Ta'ala ke sath talluq mein kirdar.

19:53 Islam ke majmooi nizam mein "Eid" ka tasawwur aur us ki ahmiyat.

21:65 Roze ke mamlay mein mareez aur musafir ke liye (yasir) sahulat-o-asaani ke ahkam.

24:46 Insaniyat ke liye Islam ke malkuti nizam ke muqable mein madi aur falakiyati nizam ki sakhtiyan.

29:54 Bemukabla-e-Islam digar mazahib mein tashaddud-o-ta'amuk ke royan se insaan ke liye mushkilat.

34:09 Islam ke majmooi nizam ki rooh yasir (asani) par qaim hai na ke 'usr' (sakhti) par.

39:35 Eid-ul-Fitr rozon ki adad (tadad) poori karne ke baad khushi ka din hai.

41:02 Eid ke din mein roza nah rakhne ke hukum ki hikmat.

46:31 Nowruz aur Meherjaan ke naam-al-badal ke tour par Musalmanon ke liye Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ka taqarrur.

51:43 Eidain ka maqsad insaniyat ko aqli aur tabai farhat mehya karna hai.

56:09 Zalimana nizam ki maujoodgi mein insanon ke darmiyan aqli aur tabai khushi ke taqazay poore nahin hote.

1:03:35 Eidain (khushi ke din manane) ke baaz aadaab jaise ghusl, khushbu aur behtar libas waghera ka ehtemam.

1:06:29 Eidain ka ehtemam aalami nahin balkay jaghrafiai satah par honay ki wajah aur hikmat.

"Pesh kardah idara Rahimia Ilmiya, Lahore. Pakistan."
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
اپریل 22, 2023