خطبہ جمعہ/ رمضان المبارک میں صیام (روزے) اورقیام اللیل (تراویح).../ مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

31 March 2023 / 09 Ramaza ul Mubarak 1444

Ramadan-ul-Mubarak mein siyam (rozay) aur qiyam-ul-lail (taraweeh) ki haisiyat aur nizam e tarbiyat mein kirdar.


Hazrat Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri

Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

Khutbe ki rahnuma Ayat-e-qurani aur Ahadees-e-nabwi ﷺ

Ayat-e-qurani

1۔ فَمَن شَهِدَ مِنكُمُ الشَّهْرَ فَلْيَصُمْهُ ۖ (2 – Al- Baqra: 185)
Tarjuma: "So jo koi paye tum mein se us (Ramadan ke) mahine ko, to zaroor roze rakhe us ke."

2۔ كُلُوْا وَ اشْرَبُوْا حَتّٰى یَتَبَیَّنَ لَكُمُ الْخَیْطُ الْاَبْیَضُ مِنَ الْخَیْطِ الْاَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ،۪ ثُمَّ اَتِمُّوا الصِّیَامَ اِلَى الَّیْلِۚ وَ لَا تُبَاشِرُوْهُنَّ وَ اَنْتُمْ عٰكِفُوْنَۙ فِی الْمَسٰجِدِؕ تِلْكَ حُدُوْدُ اللّٰهِ فَلَا تَقْرَبُوْهَاؕ كَذٰلِكَ یُبَیِّنُ اللّٰهُ اٰیٰتِهٖ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ یَتَّقُوْنَ۔ (2 – Al- Baqra:187)

Tarjuma: "Khao aur piyo jab tak ke saaf nazar aaye tum ko dhari safaid subah ki juda dhari siyah se, phir poora karo roza ko raat tak, aur na milo aurton se jab tak ke tum etikaf karo masjido mein, ye haddein bandhi hui hain Allah ki, so un ke nazdeek na jao, isi tarah bayan farmata hai Allah apni ayaten logo ke wasitay takay woh bachte rahen."


Ahadees-e-nabwi ﷺ

1۔ ”مَنْ صَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا، غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ“۔ (Sahih Bukhari, Hadith: 1901)
Tarjuma: Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jisne Ramadan ke rozay imaan ke saath aur ehtesab ki niyat se rakhe, us ke guzishta tamam gunah maaf kar diye jate hain."

2۔ ”مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ". (Sahih Bukhari, Hadith: 37)
Tarjuma: Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jo koi Ramadan mein (ratoon ko) imaan ke saath aur ehtesab ki niyat se ibadat kare, us ke guzishta tamam gunah bakhsh diye jate hain."


Khutbye ke chand markazi nikat:

Ramadan aur Quran ki roohaniyat ko samajhne ki zaroorat aur ahmiyat

Insaan ki rooh uske tabii, qalbi aur aqli teen (3) dairon se talluq rakhti hai.

Tamam Anbiya-e-Kiram (A.S) aur Hukama ki nazar mein rozay ke matalub nataij ki ahmiyat

Hanifi tahreek ke Anbiya (A.S) ke hawale se ijtimai rozay ke mutayyan auqat ki hikmat

Deen-e-Islam ki taleemat ko ba tour marboot nizam samajhne ki zaroorat aur ahmiyat

'Ahl-e-Quran' ke nazriye ka pas-e-manzar aur nazriyat wa azaim

Jadeed taleem yafta nojawanon ke deen ke bare mein sawalat ka pas-e-manzar

Rozay aur taraweeh ke ijtimai nizam ki tafhim baraye Imam Shah Waliullah Dehlvi ke irshadat

Qanoon sazi ke amal mein mustamil istilahat ki taareef aur ta'yeen ki zaroorat

Rozay ke tarbiyati nizam mein inteha-pasandi ke bajaye i'tidal ki ahmiyat

'Al-Lail' ki durust ta'rif ke zariye iftaar mein inteha-pasand tareeqa-e-amal se bacha jasakta hai

'Al-Jamaat' ki bunyad par sunnat ko na samajhne aur Quran ki manmani tashreeh ke muzmaraat

Qiyam-ul-lail ke tanazur mein namaz-e-taraweeh ka saboot aur naamnahad mazhabi jadid pasand

Namaz-e-taraweeh ki haisiyat aur ahmiyat aur ummat ka ijtimai amli tasalsul


Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
اپریل 02, 2023