خطبہ جمعہ/فطرۃ اللّٰه کی اَساس پر قائم حنیفی ملت کے سماج کی خصوصیات۔/ مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

16 Sep 2022 / 19 safar 1444
Fitrat ul ALLAH ki asas par qaim hanifi millat ke samaaj ki khususiyaat aur jadeed jahili fikar par mabni sarmaya parast nizaam; aik muhaakma
Hazrat e Aqdas Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri
Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

.. .. khutba ke chand markazi nikat .. .. 👇

✔️ 1:25 khutba ki tamheedi guftagu aur mozo e sukhan ka daira
✔️ 3:39 milat e hanifi ki hudood o zawabit aur uss ki pairwi ki hikmat
✔️ 8:03 hudood ul ALLAH ( qanon e Ellahi ) ko tornay ka nuqsaan
✔️ 9:27 khutbe ki markazi aayat ka shan-e nuzool aur samaji pass e manzar
✔️ 13:16 arabon mein aik khandan shikan qanoon ki islaah aur kafaar e zihar
✔️ 18:56 kufar ka ma'na 0 mafhoom aor, kufar aur juhood ka farq
✔️ 21:16 Fitrat ul ALLAH ki hudood o quyood ke munkir muashray ke liye samaji zillat
✔️ 28:43 milat e haqqa aur milal e batila ke baray mein imam Shah walii ALLAH DEHALVI ka Ilmi o aqali tajzia
✔️ 38:49 milat e Ibraahimi ke baray mein Imam Shah walii ALLAH DEHALVI ki aik khusoosi rahnumai
✔️ 41:45 milat e Ibraahimi mein haqooq ul ALLAH ke sath haqooq ul ibaad ki ahmiyat aur naguzirit
✔️ 45:02 samahat e nafas ki haqeeqat
✔️ 45:28 ebadaat ke zariye insanon mein malka e adalat ki istedad bhi matloob hai
✔️ 46:50 malka e adalat ki tareef, ma'na o mafhum aur samaji taqazay
✔️ 47:51 milat e hanifia ke das asasi usool, jin ka zikar sourat al-anaam mein howa hai
✔️ 49:05 , 52:14 qanooni nizaam mein qaumi mizaaj aur qaumi hudood o quood ka lehaaz
✔️ 55:30 milat e hanifi ki asas par bain al aqwami qanoon ki tashkeel ki bunyadain
✔️ 58:45 "یُحادُّن اللّٰه" ( ALLAH se jung karne walay ) ka ma'na o mafhuum aur morad e Ellahi
✔️ 1:02:16 milat e Ibraahimi ke asasi nazriye ki roshni mein ehad e haazir ki jahliat e jadeda
✔️ 1:08:30 roshan khayaali aur tehqeeq e jadeed ke unwan se aqal e khaam ka almiya
✔️ 1:12:22 jadeed sarmaya daari nizam; bad tareen nasal parasti ke nizaam ka Muhafiz
✔️ 1:13:32 ehad e haazir mein "یُحادُّن اللّٰه" ka amli namona sarmaya daari nizaam hai
✔️ 1:17:11 hudood ul Allah ka wasee tasawwur aur mazhabi yak rukhi ka almiya
✔️ 1:18:12 aaj ke sayaq o Sabaq mein waqia e zihar par ghhor o fikar
✔️ 1:18:54 system aur mahol par shaori sawalaat uthanay ki ahmiyat!
✔️ 1:22:47 muashray mein haq ki jad-o-jehad ke liye jamaat ( hizab ul ALLAH ) ki ahmiyat!



Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
ستمبر 18, 2022