خطبہ جمعہ| تعلق مع اللہ کے لیے طاغوت سے قطع تعلق کی ناگزیریت | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Batareekh: 21 Zu al-Hijjah 1445Hijri / 28 June 2024
Ta'aluq ma' Allah ke liye taaghoot se qata' ta'aluq ki nagziyat aur Jabr o istihsal ka aalami nizaam

Khutba-e-Jumu'ah al-Mubarak:
Hazrat Maulana Shah Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri

Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

Khutbe ki Rahnuma: Ayat-e-Qur'ani o Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

"Ayat-e-Qur'ani"
”‌وَالَّذِينَ ‌اجْتَنَبُوا ‌الطَّاغُوتَ أَنْ يَعْبُدُوهَا وَأَنَابُوا إِلَى اللّٰه لَهُمُ الْبُشْرَى۔ (39 – الزمر: 17)
*ترجمہ:* ”اور جو لوگ شیطانوں کو پوجنے سے بچتے رہے اور اللہ کی طرف رجوع ہوئے، ان کے لیے خوشخبری ہے“۔

... Khutbe Ke Chand Markazi Nukaat ...

0:00 Aaghaz
1:11 Insaan ke ta'aluq ma' Allah aur huqooq Allah ke hawale se 'aboodiyat ke taqaze
4:15 Kainaat ke nazm o nasq par Allah Ta'ala ka control aur tauheed-e-haqeeqi ke taqaze
5:17 Zaat-e-Baari Ta'ala ke muqable mein kisi bhi taqat ke nizaam ko maanna shirk hai
10:26 Khutbe ki markazi aayat ka tafseeri khulasa do jamaaton ke kirdar ka muqabla
12:16 Taqwa ka buniyadi maqsad aur deen ka buniyadi mafhoom aur iske amli taqaze
12:53 Insaan ki mukammal taraqqi aur falah ka nizaam, Allah Ta'ala ne anbiya ke zariye de diya hai
15:32 Surah Zumar ke mazameen mein ilm aur nazriye ke hawale se do buniyadi maqasid
15:45 Taqwa ke nataij ke haq o batil aur 'adl o zulm ki pehchaan aur shaoor paida ho jaye
18:22 Ek muttaqi ka wasf yeh hai ke haq ki pehchaan ke baad iska nizaam qaim kare
19:56 Mazeed baraan muttaqi duniyaavi mafad ke bajaye sirf Allah ki raza ke liye kaam kare
20:55 Taaghooti nizaam ke khilaf jidojehad aur iski ghulami se ijtinaab karna
23:57 Inaabat (rujoo) ila Allah ki buniyadi shart, taaghooti nizaam ka inkaar aur bara'at hai
26:02 Rujoo ila Allah aur ijtinaab-e-taaghoot, anbiya-e-kiraam alaihimussalam ka buniyadi maqsad raha hai
26:46 Nazriye par ilm o amal ki baat tawajju se sunne ke natija khez asraat o nataij
29:31 Ijtinaab-e-taaghoot ke tanazur mein Pakistan mein hukmaranon aur IMF ke kirdar ka jaiza
31:37 Tareekh-e-Islam ke sadr-e-awwal ko tareekhi bud fehmi ke tanazur mein dekhne ke nataij
33:28 Tareekh-e-Islam ke ijtimai nizaam ke jaize ka buniyadi usool; insaaniyat-e-aama ka mafad
38:13 Taaghooti nizaam ke tanazur mein East India Company ke kirdar ka tahleel o tajziya
39:17 Musalman mulkon aur muashron par aaj ke aalami taaghooti nizaam ka control
43:03 Aaj ke taaghooti nizaamon ke ahbaar o ruhbaan, system ko control karne wali taqatain hain
50:57 Taaghooti nizaam ke budget mein ghair haqeeqi aur zalimana taxes ka tahleel o tajziya
55:32 Pakistan ke Amreeki qarzon mein jakre jane ka tareekhi pas-e-manzar aur nataij
1:02:30 Bay' aur sood ka buniyadi farq aur taaghooti nizaam ki heela saziyan
1:03:14 Taaghooti nizaam ke zair-e-asar paanch najaiz cheezon ko halal kar lene ki nabvi paishin goyi
1:08:15 Aaj ke musalman ki inaabat (rujoo) ila Allah aur taaghooti nizaam ke hawale se zimmedaari
1:09:49 July 2024 mein Idara Rahimiya Uloom-e-Qur'ania (Trust) Lahore mein saalna dora-e-tafseer ki zaroorat o ahmiyat

Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
جون 30, 2024