خطبہ جمعہ | رمضان المبارک کے مطلوبہ مقاصدِ تربیت کے تناظر میں | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

4 Ramadan al-Mubarak, 1445 Hijri / 15th March 2024

Ramadan al-Mubarak ke matlooba maqasid tarbiyat ke tanazur mein
Dor-e-zawal ke inhirafi a'maal se shawari ijtinaab ki ahmiyat



Khutba-e-Jumu'ah al-Mubarak:
Hazrat Maulana Shah Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri

Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

Khutbe ki Rahnuma: Ayat-e-Qur'ani o Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

"Ayat-e-Qur'ani"
شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِیْۤ اُنْزِلَ فِیْهِ الْقُرْاٰنُ هُدًى لِّلنَّاسِ وَ بَیِّنٰتٍ مِّنَ الْهُدٰى وَ الْفُرْقَانِۚ فَمَنْ شَهِدَ مِنْكُمُ الشَّهْرَ فَلْیَصُمْهُؕ۔ (2 – البقرۃ: 185)
ترجمہ: ”مہینہ رمضان کا ہے، جس میں نازل ہوا قرآن، ہدایت ہے واسطے لوگوں کے، اور دلیلیں روشن راہ پانے کی، اور حق کو باطل سے جدا کرنے کی، سو جو کوئی پائے تم میں سے اس مہینے کو تو ضرور روزے رکھے اس کے“۔

"Hadees-e-Nabwi (ﷺ)"
1۔ ”مَنْ صَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ“۔ (صحیح بخاری، حدیث: 38)
ترجمہ: ”جس نے رمضان کے روزے ایمان اور خالص نیت کے ساتھ رکھے، اس کے پچھلے گناہ بخش دیئے گئے“۔

2۔ ”مَنْ قَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ“۔ (صحیح بخاری، حدیث: 37)
ترجمہ: ”جو کوئی رمضان میں (راتوں کو) ایمان رکھ کر اور ثواب کے لیے قیام کرے (عبادت کرے) اس کے پچھلے گناہ بخش دئیے جاتے ہیں“۔


... ... ... ... Khutbe ke chand markazi Nikat ... ... ... ...

0:00 Aghaaz
1:43 Ramadan al-Mubarak ke ba-barkat ayyam aur raaton ki khasosiyat ke asarat aur nataij
3:23 Ramadan al-Mubarak mein deen-e-haq ke gahray ilm o fahm aur takhliqi afkar o khayalat ke mutaleay ki ahmiyat
8:25 Deen-e-Islam ka nizam ek mukammal nizam kaise hai? Us ko shawari bunyadon par kaise samjha jaye?
10:54 Muashray mein Ramadan al-Mubarak ke asarat o nataij ke ala al-ragham kifayat lamha fikriyah!
14:40 Ramadan al-Mubarak ki ahmiyat ko Qur'ani afkar ke tanazur mein samajhne ki zaroorat wa ahmiyat
15:24 Nizam-e-kainat mein kamalat-e-ilahi ki takmeel ke liye tadbeer, tajalliyat aur anbiya-e-kiram ka kar-dar
17:45 Imam Shah Waliullah Dehlvi ka tajdeedi kaam; deen-e-Islam ke falsafay aur asasi usulon ki aqli nishandahi
18:19 Europe ki aqal-e-haywani ki darmiyanadgi aur asr-e-hazir mein deen-e-Islam ke hikmat o falsafah ki ahmiyat
19:44 Nai ijadat o takhliqat ke naam wujood mein ane ka falsafah aur un ka asmaiy-e-ilahi se taluq
20:33 "Ramadan al-Mubarak" mahine ke naam ke tanazur mein us ke asarat o khasosiyat ka falsafah
23:47 Roza aur tilawat; nafs, qalb aur aqal ki manfiyat ko khatam karke un ki khubiyon ko jala bakhshtay hain
30:34 Quran Hakeem apne asarat o nataij ke e'tibar se inqilab aur tabdili ki kitaab hai
32:26 Ramadan al-Mubarak aur Quran Hakeem ka apasi taluq aur un ki kamiyabiyon ki ek jhalak
38:13 Achay aur bure a'maal ka apne dairon mein zanjiri taluq aur Ramadan al-Mubarak ka kar-dar
41:34 Angrezon ke isti'mari a'maal-e sayya ka zanjiri silsila aur ghulami ke siyah saya
48:07 Aaj ke halat ke tanazur mein Ramadan al-Mubarak ke fuyooz o barakat se istifade ki hikmat-e-amali
49:11 Dor-e-zawal ke mazhabi tabaqon, masajidon aur be-nataij a'mal ke zanjiri silsile ke nataij
51:33 Saudi Arabia mein Hazrat Umar Farooq ki ma'mool bees taraweeh ke khilaf mutshaddid tarz-e-amal
55:02 Qanooni shikanje ke zulm o tagyan ke dor mein sunnat-e-Ibrahimi ko zinda karne ki zaroorat
1:00:06 Ramadan al-Mubarak mein apni islah o tarbiyat aur samajh ko sudharnay ki hikmat-e-amali


Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
مارچ 17, 2024