خطبہ جمعہ/ شعائر اللّٰہ کی عظمت اور رُوحِ قربانی / مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

30 June 2023 / 11 Zulhijjah 1444

Sha'air-e-Allah ki azmat aur rooh-e-qurbani

Khutba-e-Jumu'ah al-Mubarak:
Hazrat Maulana Shah Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri

Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

Khutbe ki Rahnuma: Ayat-e-Qur'ani o Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

"Ayat-e-Qur'ani"

لَنْ یَّنَالَ اللّٰهَ لُحُوْمُهَا وَ لَا دِمَآؤُهَا وَ لٰكِنْ یَّنَالُهُ التَّقْوٰى مِنْكُمْ١ؕ كَذٰلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمْ لِتُكَبِّرُوا اللّٰهَ عَلٰى مَا هَدٰىكُمْ١ؕ وَ بَشِّرِ الْمُحْسِنِیْنَ۔ (22 – الحج: 37)

Tarjuma: "Allah ko nahin pohanchta un ka gosht aur nahin un ka lahoo, lekin us ko pohanchta hai tumhare dil ka adab, isi tarah un ko bas mein kar diya tumhare ke Allah ki bara'i parho is baat par ke tum ko raah sajhayi, aur basharat suna de neki walon ko."

"Hadees-e-Nabwi (ﷺ)"
”إِنَّ اللّٰهَ لَا يَنْظُرُ إِلَى صُوَرِكُمْ، وَأَمْوَالِكُمْ، وَلَكِنْ يَنْظُرُ إِلَى قُلُوبِكُمْ، وَأَعْمَالِكُمْ“۔ (الصّحیح لمسلم، حدیث: 6543)

Tarjuma: "Allah Ta'ala tumhari surton aur tumhare amwal ki taraf nahin dekhta, lekin woh tumhare dilon aur amal ki taraf dekhta hai."



... ... ... ... Khutbe ke chand markazi nikat ... ... ... ...

0:00: Aaghaz Khutba

1:15: Qurbani karna, sha'aair-e-Allah mein se hai aur is ke ahem maqasid hain

2:26: Makkah ke mushrikeen ne tahreek-e-hanifiyat mein tashbih aur shirk peda karne ki koshish ki

4:28: Aap ﷺ ke maqasid-e-ba'asat mein millat-e-hanifiyah ke bunyadi asaasi usoolon ko bahal karna tha

5:33: Sha'aair-e-Allah ki tareef, tadad aur in alamat ka bunyadi falsafa aur un ki nishandahi

14:43: Maghribi nizaamon ka sha'aair-e-Allah ki dushmani aur tauheen ka tarz-e-amal, insani fitrat aur aqal se inhiraf par mustawar hai

18:57: Mah-e-Zulhijjah ke paanch ayyam mein Takbiraat-e-Tashreeq ka falsafa aur us ki ahmiyat

24:36: Qurbani ka janwar zabah karne mein insaan ki rooh-e-hayawani ki qurbani ka bunyadi falsafa

28:32: Mushrikeen-e-Makkah ka sha'aair-e-Allah mein zubani aur amli tahreef karne ka ek barik farq

31:08: Masharoon mein saleh aur fasid siyasi aur mazhabi qayadaton ki pehchan ka bunyadi usool

34:07: Arab muashray ki but parasti ke pas-e-manzar mein ayyar insanon ke istehsali harbe

36:43: Qurbani ke amal aur hasne-khulq, dilon ke adab aur taqwe ke darmiyan qabil-e-tawajjah talluq

41:27: Imam Shah Waliullah Dehlaviؒ ka insani amal, af'al, akhlaq aur ihsasat ka nafsiati tajziya

48:08: Kisi bhi shobe mein maharat ke peeche salahiyat, tajurba aur skills karfarma hoti hain

50:38: Khush haal muashray ki ek badi khubi mali harz-o-lalach se istighna

54:46: 'Adil aur zimedar hukumat ki nishani ke wahan log khush haalte hain

57:49: Kisi bhi tarbati nizam mein nata'ij ke liye waqt-e-muqarrar ki bunyadi ahmiyat hoti hai

1:03:58: Qurbani ke nisab aur wajub ka istidlal aur us ki ahmiyat ka bayan

1:07:59: Qurbani mein rasam parast aur naam nahad jadat pasand tabqon ke nazariyat ka tajziya.


Paish kardah Idara Rahimia 'Ulam-e-Qurania , Lahore. Pakistan"
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
جولائی 02, 2023