حجۃ اللہ البالغہ | 026 | واقعات حشر کے اسرار | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Ahadees e Nabavia (S.A.W) ki roshani mein deen e islam ke marboot falsafah "ilm-e-Asrar-e-deen'' par mabni mujaddad e millat Imam Shah walii Allah DEHALVI ki maya naz tasneef "Hujjat Allah al Baligha" ke Hafta waar Darus



Dars: 26

Mabhasht-e-doom: Dunya ki zindagi mein aur marnay ke baad saza o jaza ki kaifiyat

Bab: 4 "Aalam-e-Hashr ke waqiyat ke baaz asraar ka tazkirah"

Mudarris:

Hazrat Maulana Shah Mufti
Abdul Khaliq Azad Rai Puri

Dated: 18 Jul 2018

Bamaqam: Idara Rahimiya Ilmiya (Trust) Lahore

... Dars Ke Chand Bunyadi Nukat ...

👇
0:00 Agaz e Dars

0:17 Mabhas-e-doom ke guzishta mazameen ka khulasa aur is bab mein paanch qawaid ka zikr

2:48 Insani rohoon ke jama' honay ka markaz, Hazirat al-Quds aur Rooh al-Azam ka taaruf

14:12 Rooh al-Azam ke paas jama' honay wali insani rohoon ki imtiyazi aur infiradi hesiyat khatam ho jati hai.

18:38 Aalam-e-Hashr: Bikhri hui rohoon ke ijtima' ki jagah

19:46 Har nau' ki do imtiyazi khusoosiyat: Zahir-i-khalqat (shakl-o-soorat) aur noo'i batini mushtarik khawas

35:22 Makhlooq ki har noo' ki khasoosi shar'iat (tareeqa kar aur procedure) hai, misaloon se wazahat

44:00 Afrad ki sa'adat (naik bakhti aur kamyabi) ka mae'yar apne noo'i ahkamat ke bharpoor honay mein hai.

1:04:16 Afrad-e-insani ke i'tibar se rohoon ka Hazirat al-Quds ki taraf injizab (safar)

1:25:31 Aalam-e-Hashr ke waqiyat ru'ya (khawab) ke mushabah hain. (Hazrat Dawood Alaihissalam ke waqiyah ke zamn mein chauthe qaidah ki wazahat, mas'ala ismat-e-anbiya karam aur Maulana Sindhi Rah ki muntaqid tashreeh)

1:33:46 Panchwan qaida

1:38:38 Aalam-e-Hashr ke waqiyat ki mukhtasar tafseel

1:44:25 Jis Aadmi ka nafs-i-natiqah mazboot aur nasma wis'a ho ga, un ke haq mein waqiyat-e-hashriya wafir aur kamal ho'n ge.

1:46:24 Aalam-e-Hashr mein kuch umoor ka mushahidah tamam insanon ko ho ga, jaise Hauz-e-Kausar waghaira.

1:48:35 Jahannam se nikal kar Jannat mein dakhil honay walay log

1:52:24 Jannat mein kuch nufus ki khwahishat, noo-i-hayawani ke taqazoun ke mutabiq poori ho'n gi.

1:58:34 Jannat mein Allah Ta'ala ki barah-e-raast ziyarat aur Sultan al-Tajaliyat ka zahoor.






Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
حُجّةُ اللّٰه البالِغة
وقت اندراج
اپریل 28, 2023