حجۃ اللہ البالغہ | 016 | تقدیر سے تکلیف کا صدور حصہ سوم | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Ahadees e Nabavia (S.A.W) ki roshani mein deen e islam ke marboot falsafah "Ilm-e-Asrar-e-deen'' par mabni mujaddad e millat Imam Shah walii Allah DEHALVI ki maya naz tasneef "Hujjatullah Al Baligha" ke Hafta waar Darus

Dars: 14

Mabhas-e-awwal: Asbab-e-takleef-e-insani aur mujazat-e-amal

Bab: 7 (Hissa-e-soom)

Shariaat ki Pabandi aur Taqdeer ka Baham Ta'alluq



Mudaris :
Hazrat e Aqdas Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri
Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

28 Mar 2018
Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.


Nikaat

1.Baab ki Guzashta Mabahis; Malakiat o Bahimiyyat ka Khulasa.

2.Mizaj-e-Nau-e-Insaani ke Itidal ki Lazmi Cheezen; Ulum, Shariaat, A'maal ki Darja Bandi ke Qawaid aur Muqaddamat-e-Maqamat-e-Sulook wa Ihsaan.

3.Nau-e-Insaani ki Takmeel wa Taraqqi ke Liye Anbiya' Alaihimus Salam ki Bai'sat ki Naguzeeriyat.

4.Quwwat-e-Aqliyya ki Ghiza ke Liye Paanch Bunyadi Ulum;(1). Ilm al-Tawheed wa al-Sifat (Khaliq wa Makhlooq ke Rishte ki Faham o Tafhim).

5. (2). Ilm ul-Ibadaat (Allah ke Samne Sar Ba sujood Hone ka Ilm), (3). Ilm al-Irtifaqaat (Insaani Jism ki Baqa ke Liye Nafa Bakhsh Cheezon ka Ilm).

6.(4).Ilm ul-Mukhasa (Kamzor Zehniat ko A'la Darjey ki Aqli Baatein Dalail se Samjhana).

7.(5).Ilm al-Tazkiraat (Mazi ki Yad Dashat, Hal mein Gird-o-Pesh ke Waqiyat aur In'amat aur Mustaqbil ke Halat ke Tanazur mein Tawheed, Ibadaat aur Irtifaqat ki Naseehat wa Yad Dihani ka Ilm).

8.Imam Shah Waliullah Dehlavi ki Tasaneef mein in Ulum ki Tarteeb Mukhtalif Honay ki Tawjeeh.

9.Allah ne Azal mein Nau-e-Insaani ki Istidad ke Mutabiq Ghaib ul-Ghaib mein Paanch Ulum Mutayyan kar Diye.

10.Asha'ira ke Haan Kalam-e-Nafsi wa Kalam-e-Lafzi ki Bahas ka Tasfiyah.

11.Insaan ki Taqdeer Nau-e-Insaani ki Anayat ke Mutabiq Ilm-e-Azali mein, Istidad ke Mutabiq Mala'e-ala mein, Ahwal ke Mutabiq Aasman-e-Duniya mein aur Itmam-e-Murad ke Liye Dunya mein Anbiya' Alaihimus Salam par Nazil Hue Hain.


Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
حُجّةُ اللّٰه البالِغة
وقت اندراج
اپریل 17, 2023