حجۃ اللہ البالغہ | 012 | روح کی حقیقت | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Ahadees e Nabavia (S.A.W) ki roshani mein deen e islam ke marboot falsafah "Ilm-e-Asrar-e-deen'' par mabni mujaddad e millat Imam Shah walii Allah DEHALVI ki maya naz tasneef "Hujjatullah Al Baligha" ke Hafta waar Darus



Dars : 12

Mabhas-e-awwal: Asbaab-e-takleef-e-insaani aur majaazat-e-amal

Bab: 5

Rooh ki haqeeqat-o-maahiyaat aur us ka taaruf


Mudaris :
Hazrat e Aqdas Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri
Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

28 Feb 2018 / 11 Jumada- alukhra 1439

Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.


Nikaat

0:31 ❶ Sabiqa chaar abwaab ki mabahis ka zikr
4:55 ❷ Kya rooh ki haqeeqat ka idraak insaan ke bas mein nahi hai?
9:12 ❸ Quran mein rooh ki haqeeqat tak rasai na honay ka khitaab Yahood se hai.
12:41 ❹ Aayat-e-rooh se yeh sabit nahi hota ke rooh ki haqeeqat koi nahi jaanta
17:45 ❺ Ilm-ul-Ihsan aur ilm-e-tasawwuf mein farq aur sufia ki guftagu se mutaliq Shah sahib ka nukta-e-nazar
22:17 ❻Rooh ki haqeeqat ke idraak ka amoomi darja
23:35 ❼ Hakama aur atibba ke haan insaani rooh ka tasawwur
24:30 ❽ Rooh-e-hawaai (vital force) par insaan ki karkardgi aur maut-o-hayat ka inhasar hai
35:23 ❾ Rooh-e-hawaai ek tagheer pazeer haqeeqat aur haqeeqi rooh ka nichla tabqa aur us ki sawari hai
40:02 ❿ Shah sahib ke nazdeek rooh-e-haqeeqi kare-e-arz ke asraat se oopar naqabil-e-taqseem ikai aur noorani nuqta hai.
59:29 ⓫ Rooh-e-haqeeqi ka rooh-e-hawaai aur jism se talluq aur aapsi laaske rabt ki tozeeh
1:08:45 ⓬ Rooh-e-haqeeqi aur rooh-e-hawaai ke talluq ki 'altafimaat-ul-ilahiya' se mazeed tozeeh
1:13:37 ⓭ Rooh-e-haqeeqi aur rooh-e-hawaai ke nuqta-e-ittisal ka naam nafs-e-naatiqa hai
1:19:18 ⓮ Insaani rooh ke do daire; behimiyyat aur mulkiyat
1:20:30 ⓯ Insaan; al-Arsh wa al-Maa ki tarqi yafta aur munfarid makhlooq
1:22:59 ⓰ Maut nasmay ka badan-e-insaani se juda honay ka naam hai, nah ke rooh-e-haqeeqi ka nasmay se juda hona
1:31:02 ⓱ Nasmay ka ek hissa jo rooh-e-malakooti ke saath jura hua hai, woh us ke saath zaroor jaata hai
1:36:31 ⓲ Maut ke baad nasmay ka badan-e-misali aur aalam-e-misal ka khulasa
1:42:03 ⓳ Aamaal ke nateejay mein nasmay ka libaas-e-noorani-o-zalmani aur aalam-e-barzakh ke ajaaibat ka zahir
1:44:21 ⓴ Sur phoonkne ke baad nasme ko naya jism milta hai.
1:47:50 ❶❷ Sasmay ke do (2) hison ki wazahat
1:49:5 ❷❷ Rooh-e-haqiqi ki mazeed haqeeqat Shah Sahib ki degar kutub mein mazkoor hai.


Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
حُجّةُ اللّٰه البالِغة
وقت اندراج
اپریل 11, 2023