حجۃ اللہ البالغہ | 002 | دیباچہ بقیہ اور مقدمہ حصہ اول | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Ahadees e Nabavia (S.A.W) ki roshani mein deen e islam ke marboot falsafah "ilm-e-Asrar-e-deen'' par mabni mujaddad e millat Imam Shah walii Allah DEHALVI ki maya naz tasneef "Hujjat Allah al Baligha" ke Hafta waar Darus

Dars : 02

Hujjat-ul-Allah al-Baligha
Ka Dibacha (Baqiya Hissa) o Muqaddima (Hissa Awal)



Mudarris:
Hazrat Maulana Shah Mufti Abdul Khaliq Azad Rai Puri

Bitareekh: 18 Rabi-ul-Awwal 1439 AH / 6 December 2017 AD

Bamaqam: Idara Rahimiya Uloom e Qurania (Trust) Lahore


۔ ۔ ۔ ۔ Dars ke chand bunyadi niqaat ۔ ۔ ۔ ۔ 👇

0:00 - Guzishta dars ka khulasa

6:36 - Imam Shah Waliullah Dehlawi par inamate-Illahi ki barish aur Hujjatullah al-Baligha ki tasneef

9:19 - Nabi Akram ﷺ ki Rooh-e-Mubarak aur Imam Shah Waliullah Dehlawi ke dil mein ilm-e-asrar-e-deen ki tadween ka ilqaa o ilham

15:38 - Is Azim-ul-shan kaam ki anjaam-dehi ke liye Allah ki taraf se Imam Shah Waliullah Dehlawi ko ilham

19:32 - Hazraat e Hassnain Karimain (RA) ka aalam-e-ruya mein Rasoolullah ﷺ ka qalam-e-mubarak Imam mu'allif ko ata karna

21:10 - Ilm-e-asrar-e-deen ki tadween ki raah mein haail rukawatein aur mushkilat ka tazkirah

27:35 - Maulana Muhammad Aashiq Pehlti ki taraf se apne ustaad Imam Dehlawi ko Hujjatullah al-Baligha ki tasneef ke liye kamarband honay ka bharpoor taqaza

36:59 - Ilm asrar-e-deen ki tadween ke liye Imam mu'allif ka sharah sadar wa yaqeen wa iqaan nyz is ilm ki marboot surat ka ilham

41:46 - Hujjatullah al-Baligha ka manhaj, andaz-o-usloob aur mutaqaddimeen ke andaz-e-bayan ka muwazina

48:44 - Ayat from the Quran: "Fali-llahi al-hujjatu al-baligha" se Imam Dehlawi ki tasneef ka istinad

51:30 - Hujjatullah al-Baligha ke muqaddima ka ajmali khaka

52:57 - Hujjatullah al-Baligha ke muqaddima ki pehli bahas: Shariah ke ahkam-o-amal ki masalih aur hikmatain aur saza-o-jaza ke baham rabt ke munkireen aur Quran-e-Hakeem ki roshni mein is fasid fikr ki tardeed

01:14:37 - Hazoor ﷺ ne ahkam-o-amal ki hikmatain aur masalih bayan farmayi hain

01:24:38 - Hazoor ﷺ ne targhib-o-tarhib ke asrar-o-ramooz bayan kiye hain

01:27:53 - Sahaba-e-Karam (RA), Tabi'in, mujtahideen, aur ulama-e-muhaqqiqeen se ilm asrar-e-deen ka saboot

01:33:34 - Shah Sahib apni har kitab mein marooj-e-afkar wa tasawwurat ka pehle ilmi dalail se tajziya karte hain aur phir apna muqam bayan karte hain.



Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
حُجّةُ اللّٰه البالِغة
وقت اندراج
فروری 10, 2023