حجۃ اللہ البالغہ | 000 | علمِ اَسرار الدین کا تعارف و اختتامی درس | مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

Ahadees e Nabavia (S.A.W) ki roshani mein deen e islam ke marboot falsafah "ilm-e-Asrar-e-deen'' par mabni mujaddad e millat Imam Shah walii Allah DEHALVI ki maya naz tasneef "Hujjat Allah al Baligha" ki takmeel par pur Waqar taqreeb

Hujjat Allah al Baligha
(kitaab ke mazameen aik nazar mein, "ilm-e-Asrar-e-deen'' ka taaruf aur ikhtitami dars)

Hazrat e Aqdas Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri
Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

25 Dec 2022
Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.

Nikaat
0:00 Aghaz Dars
00:33 Hujjat Allah al Baligha ki tasneef ka pass e manzar aur mozo ahadees e Nabavia ki roshni mein"ilm-e-Asrar-e-deen'' bator falsafah e deen e Islam
11:02 Huzoor (S.A.W) ki bissat tak mazahab e alam ke haan Musalmah usool o zawabit ka taaruf
13:07 duniya bhar ke nizaam haae hayaat ke mutalay se waqai o haqeeqi البر ( neki ) aur الإثم ( buraiee ) ka taayun
17:38 neki o badi par qaim honay walay amli nizaam ''a'syash ul almiliya'' ka tahleel o tajzia aur milat e Ibarahimia ke usool o zawabi
20:48 haqayiq e kaayenaat, insaan ki haqeeqat aur usay qanoon ka paband bananay ke asbaab o wajoh aur neki o badi ke teen mayarat ka taayun
21:34 1. aamaal ki saza o jaza aur is ke duniya o akhirat mein nataij
22:40 2. insani zaroriat o ihitiyajat ki taskeen par mabni irtifaqat ka nizaam
23:18 3. tamam mazahib ke haan noo e insaan ki kamyabi ke mayarat
30:02 neki o badi ki haqeeqat
36:52 "siyasat e millat''; yani nizam siyasat ki haqeeqat aur siyasi rehnuma o mofahamin ka taaruf
39:03 Nabi e akram(S.A.W) ki ahadees se neki o badi o siyasat e maliya ke usool o zawabit ke akhaz o istanbat ke tareeqay
40:18 al-eman se al-hajj tak deen ke saat nizamon ki marboot tafseel
51:35 deen ka aathwan nizam; ahadees ki roshni mein علم السلوک والاحسان ki jame lajawab tarteeb aur is ke ahkamaat o zawabi
55:56 nizam e mamlaat o Tadbeer e manzil o siyasat mudan aur adaab e zindagi
58:55 Huzoor (S.A.W) ki jame seerat ka munfarid khaka
1:02:06 Deen e Islam ko mumkina darpaish aur lahiq honay walay ftnon ke khilaaf muzahmati shaoor par jame guftagu
1:08:00 Sahaba e kiram rizwan Allah allahum ajamaeen ke manaqab ke teen (3) bunyadi usool
1:15:17 Akhari Sabaq: millat ki haqeeqat, milal e Sabiqa aur milat e Ibarahimia hanifia ki jamiat
1:21:39 milat e Ibarahimia ke tasalsul o tawarus mein jamaat e sahaba ki ahmiyat o Azmat o khususiyaat
01:26:46 jamaat e sahaba mein do (2) afzal tareen shakhsiyat; hazraat shaikain abubaker o Umar razi Allah anhuma ki afazaliat par Imam Shah walii Allah DEHALVI ki pur maghaz aur sair haasil guftagu
01:39:43 kitaab ka ikhtitami khutba aur Hujjat Allah al Baligha ke manhaj e fikar par Imam DEHALVI ki muratab kardah deegar kutub ka taaruf

Presented by Rahimia Institute of Quranic Sciences, Lahore Pakistan
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
حُجّةُ اللّٰه البالِغة
وقت اندراج
جنوری 05, 2023