خطبہ جمعہ/ پہاڑوں کی بناوٹ میں صنعتِ الٰہی کا کردار... / مفتی عبدالخالق آزاد رائے پوری

تفصیل

14 July 2023 / 25 Zulhijjah 1444

Paharon ki banawat mein Sanaat-e-Ilahi ka kirdar aur insani zindagi mein puryaqeen amli maharat ki Deeni ahmiyat

Khutba-e-Jumu'ah al-Mubarak:
Hazrat Maulana Shah Mufti Abdul Khaliq Azad Raipuri

Masnad Nasheen Khanqah Aaliya Rahimia Raipur
Director General of Rahimia Institute of Quranic Sciences Lahore.


Khutbe ki Rahnuma: Ayat-e-Qur'ani o Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

"Ayat-e-Qur'ani"

*1۔* وَ یَسْئَلُوْنَكَ عَنِ الْجِبَالِ فَقُلْ یَنْسِفُهَا رَبِّیْ نَسْفًاۙ، فَیَذَرُهَا قَاعًا صَفْصَفًاۙ، لَّا تَرٰى فِیْهَا عِوَجًا وَّ لَاۤ اَمْتًاؕ۔ (20 – طٰہٰ: 105 تا 107)
Tarjuma: "Aur tujh se poochte hain paharon ka haal, so tu keh unko: Bikher dega mera Rab uda kar, phir kar chhorega zameen ko saaf maidan, nah dekhega tu us mein mor aur nah teela."

*2۔* وَ تَرَى الْجِبَالَ تَحْسَبُهَا جَامِدَةً وَّ هِیَ تَمُرُّ مَرَّ السَّحَابؕ صُنْعَ اللّٰهِ الَّذِیْۤ اَتْقَنَ كُلَّ شَیْءٍؕ اِنَّهٗ خَبِیْرٌۢ بِمَا تَفْعَلُوْنَ۔ (27 – النمل: 88)
Tarjuma: "Aur tu dekhe paharon ko, samjhe ke woh jam rahe hain, aur woh chalein gaye jaise chale badal, kaari giri Allah ki jisne saadha hai har cheez ko, usko khabar hai jo kuchh tum karte ho."

"Hadees-e-Nabwi (ﷺ)"
”إنَّ اللهَ تعالٰى يُحِبُّ إذا عَمِلَ أحدُكمْ عَملًا أنْ يُتقِنَهُ“۔ (المعجم الأوسط للطبراني حدیث: 909، و شعب الإيمان للبيهقي، حدیث: 5081)
Tarjuma: "Be shak Allah Ta'ala pasand karta hai ke jab tum mein se koi shakhs amal kare toh woh usay mazbooti (pukhtagi aur 'amdgi) ke saath sar anjaam de."

و في روایة: قال النبی ﷺ : ”رَحِمَ اللهُ عَبْدًا عِمَلَ عَمْلاً فَيُتْقِنَه“۔
Tarjuma: "Aur ek doosri riwayat mein hai ke: Nabi Akram ﷺ ne farmaya, 'Allah Ta'ala us shakhs par raham farmaaye, jo amal kare toh woh usay mazbooti ke saath sar anjaam de.'"

... ... ... ... Khutbe ke chand markazi nikat ... ... ... ...

2:10: Kaenat ki haqiqat, is ki wusat aur is mein insaan ki zimmedariyan
6:19: Istimaari nizam-e-zulm ke zair-e-asar deeni ilm seekhne se iraaze ke rawayya ko farogh mila
7:57: Moujooda dour mein akhirat ka yaqeen aur aqeedah kamzor honay ki wajahat
10:01: Ilmi aur shaoori tareeqay se akhirat ke aqeeday ka understanding zaroori hai
16:25: Qiyamat ke din mukhtalif marahil se guzarte paharon ki chhe mukhtalif halatien
18:24: Har shoba-e-ilm ke bunyadi structure ko samajhna kyun zaroori hai?
34:38: Apne shobay mein maharat aur dilchspi, Allah Ta'ala ki mohabbat ka zariya hai
38:05: Apni rooh ke saath ibadat ke asrat aur dikhave ke amal ke nateejay
52:35: Riyasat-e-Madinah mein aan Hazrat ﷺ ke chand tijarti iqdamat
55:41: Musalmano mein maharat aur yaqeen na honay ke bure nateejay
59:43: Ek musalman ke liye ibadat aur amal mein yaqeen aur maharat peda karne ki asri ahmiyat
1:05:19: Aqeedah-e-aakhirat par eman ke zariye amal mein maharat aur yaqeen paida hota hai.


Paish kardah Idara Rahimia 'Ulam-e-Qurania , Lahore. Pakistan"
https://www.rahimia.org/
https://web.facebook.com/rahimiainstitute/

پلے لسٹس
خطباتِ
وقت اندراج
جولائی 17, 2023